Monday, 29 July 2013

Mx {FAIZ AHMAD FAIZ}
Sach Hai Hamee.n Ko Aap Ke
Shikway Bajaa Na Thay
Be-Shak Sitam Janaab Ke
Sab Dostaana Thay
Haan Jo Jafaa Bhi Aap Ne Ki,
Qaaiday Se Ki
Haan Ham Hee Kaar Band-e-
Asool-e-Wafa Na Thay
Aaye Tou Yun Ke Jaisay
Hamesha Thay Meherbaan
Bhoolay Tou Yun Ke Goya
Kabhi Aashna Na Thay
Kyun Daad-e-Gham Ham Ne
Talab Ki, Buraa Kiya
Ham Se JahaaN Mein Kushta-
e-Gham Aur Kya Na Thay
Gar Fikr-e-zaKhm Ki Tou
Khataavaar Hain Ke Ham
Kyun Mahv-e-Madh-e-
Khuubi-e-Teg-e-Adaa Na
Thay
Har Chaarahgar Ko
Chaarahgari Se Guraiz Tha
Warna Hamain Jo Dukh Thay,
Bohat La-Dawaa Na Thay
Lab Per Hai Talkhi-e-Mey-e-
Ayaam, Warna “Faiz”
Ham Talkhi-e-Kalaam Pe

Muneeb shah

No comments:

Post a Comment