Yeh
nigaah-e-husn jhukee jhukee, yeh jabeen-e-naaz dhuaaN dhuaaN Meray bas
ki ab naheeN daastaaN, mera kaaNpta hai ruaaN ruaaN Ho
tilism-e-aalaam-e-raNg o boo, ke hareem-e-anjum o kehkashaaN Mera saath
dey gee mery nazar, woh chhupeiN ge jaa ke kahaaN kahaaN ? Meray dil pe
naqsh haiN aaj tak woh ba ehtiyaat nawaazisheiN Woh Ghuroor o zabt
‘ayaaN ‘ayaaN, woh Khuloos o rabt nehaaN nehaaN Na safar ba
shart-e-ma-aal hai, na talab baqaid-e-sawaal hai Faqat aik sairy-e-zauq
ko, maiN bhaTak raha huN kahaaaN kahaaN Mery KhilwatoN ki ye jannateiN
kayee baar saj ke ujaR chukeeN Mujhay baarha ye huwa gumaaN, ke tum aa
rahey jo kashaaN kashaaN HaiN hunooz yaad woh qurbateiN, woh neyaaz o
naaz woh sohbateiN Woh tuloo’-e-subha Khunuk Khunuk, woh fizaa-e-shaam
jawaaN jawaaN Yeh taKhayyulaat ki zindagee, yeh tasawwuraat ki bandagee
Faqat ek faraib-e-Kheyaal par mery zindagee hai rawaaN dawaaN ===
No comments:
Post a Comment