Monday 29 July 2013

Muhabbat Jeet Hoti Hai
Mager Ye Haar Jati Hai

Kabhi Dilsoz Lamhon Se
Kabhi Bekaar Rasmon Se

Kabhi Taqdeer Walon Se
Kabhi Majboor Kasmon
Se

Mager Ye Haar Jati Hain
Kabhi Ye Phool Jaisi Hai
Kabhi Ye Dhool Jaisi Hai
Kabhi Ye Chand Jaisi Hai

Kabhi Ye Dhoop Jaisi Hai
Kabhi Masroor Karti Hai

Kabhi Ye Rog Deti Hai
Kabhi Ye Rol Deti Hai

Kisi Ka Chain Leti Hai
Kisi Ko Chain Deti Hai

Kabhi Le Paar Jati Hai
Kabhi Ye Maar Jati Hai

Mohabbat Jeet Hoti Hai
Mager Ye Haar Jati Hai
Jb Raat Ko Chaand Setarun Mein Ik Hal Chal Si Mach Jati he

us Raat k Lamhe mein aksar Bs Yaad Tuhari Aati he

us Chand Se Chehre K Sadke Us Chand se Chere Pe Qurban

wo Kitni pyari Soorat he or Mujh ko Kitni Bhati he

jb shaam ko panchi orte hen or Chand nekalne lagta he

tb sb kuch bhool hi jata he or Yaat Tmhari aati he
('.')
<))>
_//_
"Me Tmhe Pholon Ki Wafaon Me Nazar Aonga,,

Jb Dhondo Ge To Fizaon Me Nazar Aonga,,

Yad Aaon Kabi To Hath Utha Lena Tum,,

Me Tmhe Tmhari Hi Duaon Me Nazar Aonga,,

Mjhe Dhondna Mat Nafrato Ki Tapish Me.

Me Safeer Hon Mohabbaton Ki Chahaton Me Nazar Aonga,,

Mjhe Dkhna Chaho To Kholna Dil K Dareeche Kabi,,

Me Aankh Nai Dil Ki Nigahon Me Nazar Aonga.
MX

Jb Lafz e Muhabat Aata he kuch loog bhut yaad aate hen

jb dard koi bhi deta he kuch loog bhut yaad aate hen
;-(
jb Name Wafa Kahen dekhun To dil Mera Toot Sa Jata He
:->
koi jb bhi dhokha deta he kuch loog bhut Yaad Aate hen

jis ne Mere Nazuk dil ko do tukrun Mein taqseem kia

hm Naam jo os ka Dekhun To Kuch Loog Bhut Yaad aate he
:->
jb Raat ko chand sitarun K Jhurmat Mein Dekha Karta hun
;->
kuch batun ki yaad AATI HE KUCH LOOG BHUT YAAD AATE HEN
.',":_-MX-_:",'.

Kuch loog becha kar kantun ko gulshan ki tawaqu rakhte hen

Shoolun ko hawaen de de kar saawan ki tawaqu rakhte hen

Sangeen chatanun se dil k dukhne ki tawaqu rakhte hen

Zulmant k nagar mein Noorani Aangan ki tawaqu rakhte hen



Ko Gesooe Janan hun "Mx" Ya gardashe daoran k saye

  • Ae waye Muqadar Donun se Auljhan ki Tawaqu Rakhte hen

Zahid sharab peene de masjid mein beth kar, Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin.. (Mirza Ghalib) Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin, Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin.. (Allama Iqbal) Kaafir ke dil se aya hon mein yeh dekh kar, Khuda maujood hai wahan, Par usey pata nahin.. (Ahmad Faraz)


Mx {FAIZ AHMAD FAIZ}
Sach Hai Hamee.n Ko Aap Ke
Shikway Bajaa Na Thay
Be-Shak Sitam Janaab Ke
Sab Dostaana Thay
Haan Jo Jafaa Bhi Aap Ne Ki,
Qaaiday Se Ki
Haan Ham Hee Kaar Band-e-
Asool-e-Wafa Na Thay
Aaye Tou Yun Ke Jaisay
Hamesha Thay Meherbaan
Bhoolay Tou Yun Ke Goya
Kabhi Aashna Na Thay
Kyun Daad-e-Gham Ham Ne
Talab Ki, Buraa Kiya
Ham Se JahaaN Mein Kushta-
e-Gham Aur Kya Na Thay
Gar Fikr-e-zaKhm Ki Tou
Khataavaar Hain Ke Ham
Kyun Mahv-e-Madh-e-
Khuubi-e-Teg-e-Adaa Na
Thay
Har Chaarahgar Ko
Chaarahgari Se Guraiz Tha
Warna Hamain Jo Dukh Thay,
Bohat La-Dawaa Na Thay
Lab Per Hai Talkhi-e-Mey-e-
Ayaam, Warna “Faiz”
Ham Talkhi-e-Kalaam Pe

Muneeb shah